Wo swatah sehej ubharti muskaan. .
Kisi masum chehre ki jaan. . .Kaha hai?
Wo sote chehro pe upajti kuch lakiren. .Haar kr baith jate the jb. .
to pal bhr dkh kr aa jaati ti wo sehej smarpit muskaan. .
Dhumil si dur lgti h wo niswarth saras muskaan. . .
Apurn sa akaarn ye nirdosh jahan. . .
Khojta h wai purani muskaan. . . .
Mann me khushi ki pehchaan. . .Wo muskaan wo muskaan. . . . .Aur bs muskaan
muskaan :
Logo k chehro m khusiya jhalkane vali,
nirasha m aash jagane vali,
nav chetna jagane vali,
Kya Apna rasta bhul gyi vo sundr sehez muskaan,
ya duniya ki buriyo se dr kr kahi chup gyi vo muskaan,
ya fr dukh k andhero m kho gyi vo muskaan..
Rahi bn kr dhund ri hu m vo pyari muskaan,
kahin kisi kinare kbhi mil jae toh pas le aana vo muskaan..
aavart :
Ye subah ki baat ti. . . .
abi kuch pal pehle Mujhe mili ek nahi hasi. . .
Dost mila purana,uske chehre pe thi basi. . .
Ab muskaan ko b sochta hu mjbur kru. . .
Jindagi k katu styo se na dur kru. .
Ek urja prem aur dosti ki usme bharu. . .
Wo muskaan bhtakna chhor d. . .
Mere chehre pe aa jaye. . .
Koi na chede use bs wo mann ko bha jaye. . . . .
Kisse fir se purane lvly suna d. . . .Aur jindagi haseen khushi se muskura d.
muskaan :
Kya vo urja muskaan ko vapas la paegi,
dukh aur drd ki aandhi dur kr paegi..
Kya muskaan pyar k usi paalne m jhul payegi,
kya vo chehro pe raunak la payegi..
Bhul chuki h muskaan apna ghr,
kya vo usay paalane vale k pas vapas aa payegi..
aavart :
Muskaan ka kaam h khusiya baatna . . . .
Kya kyu ka sawal nahi h bhari. . . .
Ye to bs h bhvisya ki tyaari. . .
Jb b usne aane ki thaani h. . .
Mere chehre pe likhi ek nayi kahani h. . . .
Kahani ki suruwat aur ant sukad hote h. . .
Aur muskaan k aane se phle gum thode hote h. . .
Wo sb kuch kregi. .
Palne wale se lekar jhelne wale tk ko amulya karj me bhregi. . .
Khilegi jrur wo fir se . . .
Kya kyu ki gunjais betuki reh jaegi. . .Bs khushi muskaan ko aur muskaan khushi ko paegi. . . .
:):)
kHUSh!doSt!Am!t
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें